Main samjha tha nahin dunya mein mujhsa aasi koi,
Magar wuhan to har ek shakhs ashkbar dikha,
Sai mein dekha to humsai o humsafar tha wuhi,
Wuh ek bar nahin mujhko bar bar dikha,
Main samjha tha nahin dunya mein ab bache aashiq,
Magar wuhan to har ek qalb zar zar dikha,
Jo qasr keliye aaya to sharm aai mujhe,
Magar wuhan to harek chehra sharmsar dikha,
Jo kooey ishq main aaya to wuh wuhan bhi tha,
Yeh raz jan liya jab wuh razdar dikha,
Main usko chor ke aate huey bahut roya,
Jo ghar mein pahuncha to wuh mahve intizar dikha,
Wuh ghar mein ab mere rahta hay aur bahut khush hay,
Tawaf o sai ka sila itna shandar dikha!
Wuh parahan ke jo rangeen tha khoone insan se,
Wuhan geya to wuhi mujhko tar tar dikha,
Kafan pahen ke geya aur usko le aaya,
Isi kafan mein khuda mujhko aar par dikha.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *