Chadar kohar ki odhe,
Qudrat ki apsara bhi,
Thandi hawa se dar kar,
Dekho Laraz rahi hay.
Sooraj raha na sooraj,
Ek lal gend hay bas,
Dhoondho na uska chehra,
Uspar kohar ka pehra.
Raston ki bheed ban kar,
Jana bhi hay zaroori.
Par kya karen yeh thandak,
Qadmon ko rokti hay.
Lo phool muskaraye,
Kaliyan laja rahi hayn,
Aur barf dhoondhti hay,
Sooraj ki garm bahen.
(Translation of a poem by V.P.Mathur)
This is a translation of the poem
Morning Chill
by
V P Mahur

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published.