ek lahar si uthne lagti hay in budhi bekal bahon mein,
Dil chupke chupke kahta hay, ‘Thodi si peyar ki bheek to do.
Keya hal hayn kaise guzarti hay yar mere tum theek to ho?
Keyun door se batein karte ho tum thoda sa nazdeek to ho.’
‘Acha yar main chalta hoon teri bhabhi Shopping Mall mein hayn,
poton ko jake sanbhalna hay, na jane kis hal mein hayn.’
‘Yeh jeevan kitna badal geya, hum kaise janjal mein hayn! ‘
Phir halki si barish hoti hay auor halki si bheegi mitti se,
veerane phailne lagte hayn yeh ghutan bhi badhne lagti hay,
main apne aap se poochta hoon keya dosti aysi hoti hay!
Keya Tariq Road wuhi hay yeh, Waheed Murad jahan rahta tha,
wuh ghar na jane kidhar geya, khushboo se bhara guldasta tha,
college girls ka tola jis ghar pe har sham ishare karta tha,
Galion mein tahalna hasinon ka manchalon ka guzarna bahanon se,
kanakhion se dekh ke hans dena, katrana bahke deewanon se,
chupke chupke sanwarna bhi, auor darna bhi mastanon se,
Tariq Road yehi hay wuh lekin iska wuh peyar khan,
jab gul iske murjha se gaye, phir iska wuh gulzar kahan,
na jane keyun main aaya yehan, ab yehan pe mera yar kahan?
Wh rang nahin wuh khushboo nahin dhuen mein sab kutch doob geya,
mujhe ghar ko apne jane do mera mun bhi yehan se oob geya,
main dekhne jisko aata tha wuh bhola sa mahboob geya!

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *