Ek soch ka faasla hai Inn Zehan ke darmiyan
warna jab dil milte hain toh ittefaq rakhte hain
Ujale bhi wahan ke andheron se kam nahi
Uriyaniyat jahan khwahishon ke per rakhte hain
Behad udasiyata bhi khushiyon ka sabab banti hai
Jab badal chhat jaate hain tab sitare bhi dikhte hain
Ud gayi hain hawayein khushbu ko lekar
Dekhna hai ab kahan kahan phool khilte hain
Zindagi ka kafila chal pada hai safar mein phir ‘Aashi’
Dekhna hai umr ke kis padav pe jism aur rooh juda hote hain

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *