Tu mera tha na raha hai na hoga bhi kabhi
Tu to rehta hai mere jism mein rooh ki tarah
Mere jazbaat se wo is tarah khela hai kiya
Jaise haathon se kabootar ko udane ki tarah.
Rasmo ko bhi usne is tarah se nibhaya hai kabhi
Jalte hue charagon ko bujhane ki tarah.
Qurbaton mein bhi mere sath wo aise hi raha
Mausam ke jaise aane aur jaane ki tarah
Ab to ye soch ke bhi darr lagta hai mujh ko ‘Aashi’
Jaise mai kyun tula hoon khud hi ko khud se aazmane ki tarah.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *