Kya koi bhi kabhi
Tujh pe chala hai
Kya kisi raahi ne kabhi tujh ko chuna hai
Kya hua uska jo tujh pe bedha hai
Ay raaste bata de zara……
Manzil ka mujhe tu bhale na kuch hi khabr kar
Raah ki takleef se mujhe kuch nahi lena
Bus raahi ki chalk a mujh ko bata de
Tu bhi yahan, mai bhi yahan
Na jaane phir milna hoga kahan
Jo bhi raasta mile mai usko bata dunga
Apni aap beeti ka mai bayan dunga
Chal ab to keh de kuch to bata de
Raaste ne Raahi se yun kuch kaha…
Mai hoon tere safar ke liye
Manzil ki khabr kahan
Jiski jaise chaah hai
Manzil mile use wahan
Mai jaanta nahi, tum sochte ho kya
Kya dil mein hai armaan
Kya hai tere jazbaat
Housla hai kitna mujh ko nahi pata
Tadap kitni hai manzil ki ye bhi nahi pata
Mai kuch kahunga to tum ruk na joa
Badna tera muqaddar, badhte chale hi jao
Meri kahi kuch batein, naa gawara guzregi
Ansoo kisi ke dekh kar, Kadam tere rukege
Soch jiski jaisi thi usne mujhe waisa paya
Kuch khush hue chal kar, kisi ne gham hai khaya
Ye raah hai raahi chalet chale jaana
Apni nayi kahani duniya ko tum sunana….

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *