Kashtiyan tofano me ghir jaye agar, usko sahil ki khabar nahi milti
Badal jab chaha jaye ghane, Panchiyon ko udneki dagar nahi milti
Kafile gar kho jaye kahin, Udti ret per unki nakshe pa nahi milti,
Mushkilon me ghire logon ko kisi ki sohbat nahi milti.
Aasmaan mein udnewale parindon ko zameen pr rengte kido ki shanakht nahi milti
Ud jaye gar koi insaan aasmano ke sair per, usko khake dafan ki jagah nahi milti,
Doobne wale ko tinke ka sahara mil jata hai
Tairne wale ko aksar gehraiyon ki khabar nahi milti