Soch azadi ki dekar raman
Phir dhoondta hai dil asha ki kiran
Saal dar saal guzarte jaate hain
Kuch khote hai kuch paate hain
Dil ko ye tasalli dilate hain
Chod na tu kabhi umeed ka sang
Sachchai dab gayi kahin jhoot ke tale
Arman kuchal gaye rasm-o-riwaj ke liye
Dikhawe ka ainak lagaye phirte hain
Sham-o-sehar dekho logon ke dil sikudte hain
Waqt bhi hum se kya Mazak kare
Sui ghuma kar ye sirf awara phire
Dikhata hai kai tamashe naye
Saal laye aur le jaata phire
Jeevan ki is aapa dhapi me
Sharir sada mastish se lade
Dil ka soche na kuch khayal kare
Aise me dil kyun na dhunde asha ki kiran