Manzilen banti rahi
Manzilen milti gayi
Aur kitni manzilon se paar pana hain hamein
Is safar mein aur kitni door jana hai hamein
Safar hai zindagi toh chalet rehna hi padhega
Ek raah se dusari per badhte rehna hi padhega
Kab tak peeche chute nishano ki kahani bante rahegi
Kab talak is safar ki rawani bante rahegi
Kitne rahi milte gaye
Kitne bichad gaye rah mein
Kitne rahi dil mein utre
Kitne chad gaye dimag mein
Ab hisab rakhna mushkil hai
Ab aur kitni kahani banegi
Darr yeh hai dur kahin nikal na jaye hum
Raah se bichad na jaye hum
Is safar mein kahin tanha na ho jaye hum
Bus is manzil pe rukne ka jee hai
Manzilen tay kar li hai is zindagani ke safar mein
Rooh hai bechain si,
machal rahi hai
tadap rahi hai
thaka dekh insaan ko
bus kaise nikloon samajh rahi hai
Ab pakadna mushkil hai
Ab rokna mushkil hai
Iski manzil aur hai
Iska safar ab aur hai
Rooh jism se chali hai
Alvida kar ke sanam
Mitti se bane thy hum
Mitti mein mil gaye sanam.