Tum hi to ho armaanon ki asha
Tum hi to ho mere pyar ki paribhasha
Kaise main tumhe batlaoon
Ki tum mere liye kya ho
Mera amber tum, meri zameen ho
Jo bhi dono ke Madhya me hai
Wo kan-kan mein rache base ho tum
Mera sanjh tum, mera savera tum
Har roshni tum, har andhera tum
Tanhayi mein jisse baat karta hoon
Usko sunne wale kewal tum
Is Jeevan ki saanse tum
Is mrityu ki shanti tum
Bin tumhare mai kahan
Jis kan ne racha mujhe
Wo Jeevan data tum
Phir bhi kyun mai
Ghamand hoon karta
Tere rachna se hi ladta
Jabki jaanta hoon
Mai kuch nahi kar sakta