Keyun tere pas rahne ko un chahta hay ji,
Ab tak samajh na paya ke keya mangta hay ji.
Tum pas they to tumse koi bat tak na ki,
Ab door ho to kahne ko kutch chahta hay ji.
Do pal ka sath rog bana sog ban geya,
Who lamha ek pal ka sahi mangta hay ji.
Ek bat kah ke who to kahin door ja base,
Ab main bhi door jaoon yahi chahta hay ji.
Sab ke uthe to apne bhi yeh hath uth gaye,
Kahte hue khuda se bhi ab kanpta hay ji.
Uthi jo yeh nigah to sakit hi rah gayee,
Allah in khalaon mein keya takta hay ji.
Kal tak to mere pas tha phir jane keya hua,
Ab dhoondhta hun aaj magar lapata hay ji.
Likha tha jo naseeb mein who kab ka mil geya,
Jo mil sake kabhi na wohi mangta hay ji.
Har shay mein ek tu hi nazar aa raha ho jab,
Pardon mein keya chupe ga tujhe dekhta hay ji.
Tum socho ya na socho mujhe schone to do,
Socho agar to socho ke keya sochta hay ji.
(Lamha Moment
Lapata Having no address/Whose whereabouts are not known
Naseeb Fate
Shay A thing)
Sakit Unmoved, static