uska peyar barasta jaye,
samay guzarta jaye.
Her boond pe ro ro kahoon samay se,
kutch der ko wuh ruk jaye,
papi tujhse kab yeh kaha,
too laut ke wapas aaye.
Preet hamari sagar hay,
jitni chahe chura leja,
chand to ghatta badhta hay,
per sagar ghat na paye.
abbhi apni preet ka sagar,
chand se nain milaye,
phoolon se rang churaye,
taron ki tarah muskaye,
shabnam ki nami se dhulkar yeh,
khushboo se mil jaye,
itna vishal auor iska jadoo,
jab chahe simat kar phool ki komal
bahon mein mein chup jaye
auor tu dhoondh na paye.
Per samay se keya takraoon main
isse koi jeet na paye,
sagar shor machae
auor smay guzarta jaye
aa dekh le iske dharon ko,
jab chand pe joban aaye.
Abbhi ismein jalparian hayn,
abbhi nadia bahti hay jo,
chpke chupke aati hay,
aur sagar se mil jati hay,
use thoda auor bhi bahne de,
jal pariyon ko jeevit rahne de,
acha tu ruk sakta nahin to,
dheere dheere chal,
per samay ne kiski mani hay,
samay kabhi bhi rukta nahin,
aiy nadia zara jaldi karna,
poonam ka chand chamakta hay,
sagar machla machla hay,
mausam bahka bahka hay,
rat abhi bhi baqi hay,
aaj bahak le phir ek bar,
isse pehle ke chor samay,
bachi khuchi poonji ko apni,
cheene auor le jaye,
samay nahin ruk sakta hay,
samay guzarta jaye!