Kandhon pe rakh ke sar zara gao na phir kabhi,
Shayer ka ek khawab sunao na phir kabhi.
Jao to ayse jao ke jana tumhein khale,
Aao to ayse aao ke jao na phir kabhi.
Kitni haseen sham thi jab tum mujhe mile,
Aysi hi ek sham mein aao na phir kabhi.
Sargoshian karo ke ke koi aur keyun sune,
Honton se bat kar ke sunao na phir kabhi.
Alfaz keya sametein ge batein hayn peyar ki,
Aankhon se batein kar ke sunao na phir kabhi.
Shikwah hay tomko peyar na aaya kabhi mujhe,
Aata hay kayse peyar sikhao na phir kabhi.
Chingari jiski rakh ke ander dabi rahe,
Aysi bhi ek aag lagao na phir kabhi.
Apnon mei fasle koi baqi rahein to keyun,
Yeh ghairiyat ke jhagde mitao na phir kabhi.
Bikhreen agar to bikhrein gi ranaiyan bhi sath,
In gesuon ki khushboo sunghao na phir kabhi.
Kayse kata hay din main bataoon tumhein zara,
Kitni jawan rat hay aao na phir kabhi.