Wuh hansne lagein gi wuh gane lagein gi wuh mazi mein phir laut jane lagein gi,
Wuh jhuk kar uthein gi wuh uth kar jhukein gi unhein aaj masroor kar dein ge hum,
Duaein to hum ne khule aam ki hayn sharabein magar chup ke kutch kasht ki hayn,
Yeh dil kabkaa labrez ho hi chukka hay ab aankhon ko makhmoor kar dein ge hum,
Zara apne kamre ka dar band kar ke tum aaeney mein khud ko dekho to janan,
Tum ab bhi haseen ho tum ab bhi jawan ho tumhein aaj bharpoor kar dein ge hum,
Muhabbat mein keya khauf ruswaion ka yehi do dilon ki to poonji bachi hay,
Giraftar shayer ki chahat mein ho gar tumhein aaj mashhoor kar dein ge hum.
Hay aaeene ulfat azal se yehi yeh peere kuhan abbhi badla nahin,
Nai rooh phoonkein hum donon milkar, ise aaj dastoor kar dein ge hum.
Hilal idd ka ho Mubarak tumhein abhi se to mehndi lagaa ker na baitho,
Zara mere hathon mein yeh hath de do inhein aaj purnoor kar dein ge hum.