Farishta jurm karta hay to sharminda nahin hota,
Khataon per pasheemani to insanon mein milti hay.
Wh bholi bali aurat jab kabhi kutch kho si jati hay,
To mere dil ke chote se nihan khaanon mein milti hay.
Parishan zulfon wali shan pariyon jaisi teri hay,
Tu ghqazlon mein bhi dikhti hay tu afsanon mein milti hay.
Hay teri mamata chai hui sari khudai per,
Tu insanon mein milti hay tu haiwanon mein milti hay.
Who jiski chonch mein zaitoon ki ek shakh hoti thi,
Who zakhmi fakhta janon na anjanon mein milti hay.
Diya jo jhonpri mein jal raha hay roshni uski,
Na masjid na kalisa na sanamkhaanon mein milti hay.