Dekha to yun ke jaise nazar un hi uth gai,
Bole to yun ke jaise mukhatib ho ajnabi.
Kaise kahoon ke aapne wade bhula diye,
Kaise dilaoon yad wuh batein theen jo hui.
Ab dil ki dharkanon hi mein japta hun ek nam,
Tasbih to na jane kahan kabki gir gai.
Laoon kahan se dil ke karoon unse ek bat,
Han sirf ek ek bat jo ab tak hay ankahi.
Aankhon ne unki aankhon se paya nahin jawab,
Thak kar nigahe shaquq bhi chupchap so gai.
Choti si ek bat na mane tamam rat,
Sunne ke bad bhi jo abhi tak hay unsuni.
Rakh kar kisi pe aur hi maine suna diya,
Sunkar kisi ki palkein wuhin rah gaeen uthi.
Khawabon mein aaj unko sabhi kutch suna diya,
Baqi thi ek bat magar subha ho gai.
Zahid tha jaga rat ka kutch kasmasa geya,
Aur phir adhane subh mein bhi der ho gai.
Itni to thi khabar ke tabassum to aaye ga,
Lekin kali to ek hi lamhe mein khil gai.