Sargoshian karoon ga sitaron se rat bhar,
Thandi hawa ko geet sunane chala hoon main.
Aakash per uroon ga main badal ke sath sath,
Chanda se chandni ko churane chala hoon main.
Juhi ke har shabbo ki khshboo liye huey,
Is rat ko aroos banane chala hoon main.
Woh door aasman pe jo pardon mein hay chupi,
Usko zameen ki goud mein lane chala hoon main.
Kal rat mere sath thi soyee na sari rat,
Phir rat aa gayee hay jagane chala hoon main.
Uske hassen jism ki ranaian na pooch,
Tan man mein phir ek aag lagane chala hoon main.
Gustakhion pe meri woh naraz ho gayee,
Aashiq hoon main bhi usko manane chala hoon main.
Woh subh ke bad jane kahan ja ke so gai,
Dekhi jo ek jhalak to jagane chala hoon main.
Dosheezgiye laila ke israr ki quasam,
Fitrat ko belibas banane chala hoon main.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *