havaein rasta bana rahi hayn,
fizayen rasta dikha rahi hayn,
wuh udte badal ki palki se
chupa ke zulfein,
jhukae aankhein,
chupae chehra,
magar zara si
jhalak bhi apni
dikha rahi hay.
Nai nai hay saji sajai,
Zara si simti zara lajai,
magar hayn aankhon mein uske sapne,
zara zara muskura rahi hay.
Khizaon mein bikhre zard patte,
qadam qadam per hayn uske bikhre,
wuh uske pairon ko choomte hayn,
nveed-e-subh wuh suna rahi hay,
darakht shahnaian bajate,
parinde bhi uskaa geet gate,
dulhan ne aakar ye keya kiya hay,
andhere man jagmaga rahe hayn
bane hayn soorajmukhi sabhi per,
wuh mere pas aaj aa rahi hay.
Whu dheere dheere rawan hay lekin,
bada haseen peyar ka safar hay,
jo uski manzil, wuh sabki manzil,
jo uska rasta, wuh sabka rasta,
Na jane hayn kitene roop uske,
kahin hay kasrat
kahin hat wahdat,
wuh apni raanaion ki daulat,
farakh dil hay luta rahi hay.
Zara sa mujhko bhi rasta do,
bada andhera hay dil mein mere,
sakhi aroosa se bheekh lekar,
diya jalakar main dil mein apne,
bas ek lamhe mein aa raha hoon.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *