Phir barf jami hay pahadon pe, inhein apni dhoop dikhati hoon,
Phir Jamna ka pani thanda hay, main pani mein aag lagati hoon,
Phir Ravi ka roop hua pheeka, main sindh ko bhi garmati hoon,
Madhuban mein Radha bekal hay phir apni murli bajata ja,
Maine odh li malmal ki sari mun ki Ganga mein nahata ja.
Mera Jawab
Phir aai basant khili sarson, ritu aai milan ki mil le wuhan,
Wuh nahar abhi bhi bahti hay han pani kutch kam hay yehan,
Wuh thandi sadak tujhe janti hay chup chup kar milte they jahan,
Dil tera ho ya mera ho baqi hayn abhi tak apne nishan.
Lahore agar kutch badla hay Dilli bhi to badli badli hay,
Dekho hum dono badle nahin main pagla hoon tu pagli hay.
Wuh
Hum boodhe hue to keya dukh hay apni purani preet wuhi,
Balon mein chandi chamakne do mun bhi wuhi munmeet wuhi,
Hum ek hi dhun mein bajte hayn sur bhi wuhi sangeet wuhi,
Hum door bhi ho kar gate hayn Khusro ke suhane geet wuhi,
Main ab bhi peyasi dharti hoon tu badal banker chata ja,
Maine odh li malmal ki sari mun ki Ganga mein nahata ja.
Main
Hum door bahut aa nikle hayn yeh mausam aate jate hayn,
Yeh bhi bahut ek dooje ki awazein to sunte jate hayn,
Main auor tum na jane keyun un geeton ko dohrate hayn,
Rona keyun acha lagta hay keyun sath nahin hans pate hayn,
Chadar to meri badal gai per rang mein tere rang li hay,
Dekho hum dono badle nahin main pagla hoon tu pagli hay.
Hum
Hum peyar ko zindah rakhein ge hum aage badhte jayen ge,
Hum daryaon ke pawan dhare hum unhi bahte jayen ge,
Hum ayse aansoo bahayen ge jo moti bante jayen ge,
Hum unhi gate jayen ge hum yunhi likhte jayen ge,
Maine odh le malmal ki sari, mujhe chadar odh ke sone de,
Sapnon mein milte hayn kahin jo ho na saka wuh hone de.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *