Pehla pehla badal jab uth kar cha jata hay neelgagan per,
Koi ladki jhoola jhool rahi ho bheegi bheegi mast pawan per,
Dal ka pakka aam gire jab sondhi sondhi mtti per,
Sawan ka pehla pehla sandesa sookhi peyasi dharti per,
Dulhan ban kar dharti lootey pehli yeh saughat,
Chand bhi chupkar dharti ko jhanke sari sari rat.
Jab pehli bar use dekha wuh ek saloni sham si thi,
Mujhko ye maloom na tha adhkhili kali mere nam ki thi,
Galon mein shafaq to zahir thi balon mein chupi thi rat abhi,
Aankhon mein sitare chamkte they bahon mein chupa tha chand abhi,
Ruk jati thi kutch kahte kahte honton mein dabi thi bat abhi,
Tham jati thi wuh chalte chalte pehli pehli barsat abhi,
Wuh ek sunahri subh bhi thi wuh ek suhani shm bhi thi,
Mujhko ye maloom na tha adhkhili kali mere nam ki thi.
Wuh abbhi kali si dikhti hay wuh abbhi sarapa masti hay,
Wuh pehli bar dikhi jaisi wuh abbhi woyesi lagti hay,
Use rang mile use khushboo mili wuh kali se ek din phool bani,
Wuh cha gai meri hasti per wuh meri pehli bhool bani,
Phir mere baghe hasti mein koi phool dobarah khil na saka,
Us jaisa koi dikha hi nahin us jaisa koi mil na saka,
Wuh abbhi woyese hi roti hay wuh abbhi woyese hi hansti hay,
Wuh abbhi kali si dikhti hay wuh abbhi sarapa masti hay.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *