Patharon ka seena cheer kar apni unglian zakhmi karti hay,
Mere zehen ki deewaron per jane keya keya likhti hay,
Main kahin bhi hoon uski nazar bas mujhper tikti hay,
Jane mere ander keya keya dhoondhti rahti hay,
Jeevan ke sannate mein sargoshian karti hay,
Sari sari rat mujhe jagae rakhti hay,
Main mahsoos karta hoon, sunta hoon keya karti hay keya kahti hay,
Mere dil ko ek meetha meetha dard wuh deti rahti hay,
Jaise chakor dheeme dheeme chand se kutch kahti hay
Aur phir rat ke geet ke roop mein uttar sunti hay,
Jab chandni chand ke sang soi soi chalti hay,
Aur sanober ke patton se chanti rahti hay,
Jab roshni saikron ankhon ki neel gagan pe urti hay,
Aur soi dharti ke joban ke darshan karti hay,
Door kahin railgari ki seethee bajti hay,
Ek suri dhun jab thodi ghut kar bahti hay,
Aur murghan-e-sahar ki bang ubharti hay,
Jo rat ke saanate ka seena chalni karti hay,
Aur andhere mein jugnuoon ki shama jab jalti hay,
Jaise koi kishti sagar mein sair ko nikalti hay,
Rat ki panchi rani peron ko sahlati hay chooti hay,
Aur sharir hawa ke jhonkon ki jab seethee bajti hay,
Ek awara badaria jab taron ko andha karti hay,
Rat jab ek aabnoosi saye mein dhalti hay,
Yasmin ki kali khil kar dil ko shadan karti hay
Kahin se lai hui khushboo ko bikhrati hay chirakti hay,
Meri rooh dil ke kaghaz per ek chithi likhti hay,
Yeh paigham-e-muhabbat jisse jazbon ki garmi ubalti hay,
Peyar ki aag mein jalte dil ki jwala dahakti hay,
Dil ke tahkhanon mein chupi hui preet ek chithi likhti hay.
Chithi pahuncne mein lekin bahut samay le leti hay,
Hawa ke dosh per bechaini meri sargoshi apni rakhti hay
Hawa ke saz per awaz meri kan laga ker sunna,
Apne kamre ki khidki ko tum aaj khuli rakhna.
This is a translation of the poem
To My Anonymous Lover
by
Valsa George