mera Pakistan!
Kal ka juhoon jo mar na saka,
Wuh ab bhi ragon mein zinda hay,
bar bar ke kiye tajarbe,
keyun dohrae jate hayn,
tareekh se kutch na seekha humne,
parvat larze darya sookhe,
khoon se surkh hua maidan.
Jaise Sangh Parivar ne, toda Hindustan,
Usi tarah se toota Quaid tera Pakistan,
mera Pakistan!
Ache log to bikhar gaye,
ache din bhi guzaar gaye,
jo chala geya wuh behtar tha,
jo aaya usse badtar hay,
bache khuche jo sapne hayn,
Ya Rab! Kaise sanbhaloon inhein,
Kaise junoon se bacha ke rahoon,
pooch raha hay ek insan.
Jaise Sangh Parivar ne, toda Hindustan,
usi tarah se toota Quaid tera Pakistan,
mera Pakistan!

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *