Hum hanste hue bhi rote hayn hum rote hue bhi hanste hayn,
Khushion pe chalak jo jate hayn kutch aiyse bhi aansoo hote hayn,
Hamein shauq hay unki khusboo ka kante bhi gawarah hayn humko,
Jab rang pighalne lagte hayn wuh khushboo khushboo hote hayn.
Phoolon ki muhabbat mein humne kanton ko gale se lagaya hay,
Jo zakhmi kar ke tadapne na dein kutch aiyse bhi abroo hote hayn.
Wuh chehra chand ke jaisa hay wuh aankhein sitaron jaisi hayn,
Chamkeele seah resham mein chupe kutch aiyse bhi mahroo hote hayn.
Yaro in masoom haseenon ko main thoda zeyadh janta hoon,
Jo kanton ki sej bichate hayn kutch aiyse bhi gulroo hote hayn.
Jo sar per chadh kar bolte hayn kutch sunte nahin bas kahte hayn,
Use dekh ke mujhko aaya yaqueen kutch aiyse bhi jadoo hote hayn.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *