hathon mein hathon ki narmi bhi thi,
sanson mein sanson ki garmi bhi thi,
lahron mein ek aks tha hoo bahoo,
Ravi kay sahil pe main aur bus too,
aankhon mein aankhon ki masti bhi thi,
darya pe chandi barasti bhi thi,
sannata tanhai ka char soo,
Ravi kay sahil pe main aur bus too,
shamon pe zulfon ka saya bhi tha,
raton pe gulrang aaya bhi tha,
fitrat ki devi bhi thi roo baroo,
Ravi kay sahil pe main aur bus too,
honton pe honton ki thi dastan,
door dharti pe jhukta hua aasman,
thandi thandi hawaon ki mdira madhoo,
Ravi kay sahil pe main aur bus too.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *