Samne uske main kyun na sari baten jaoon bhool,
Kakul-e-uswad ke neeche aariz-e-ahmar ko dekh.
Dekh le uski jabeen par do darakhshandah hilal,
Teergi se jinki sharmata hay noor-e-mahetab,
Gesuaon men doob jata hay chamakta aftab,
Nargisi aankhen hain ya shair ka hain rangeen khyal.
Dekh aa kar uske nazuk lub ke jinke darmian,
Bijlion ki fauj saf ara khadi tayyar hay,
Dant hain ya motion ka kondta ek har hay,
Muskurahat hay yeh uski ya bahar-e-gulfishan.
Woh to bus raanaion ki rang bhari tasveer hay,
Shair-e rangeen taba ka ek nadir khawab hay,
Woh kitab-e-husn ka mehka hua ek bab hay,
Qudrat-e-rangeen bayan ki dilnasheen tehreer hay.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *