Main andheri gali mein baitha tha hath mein sirf ek roti thee,
Tan pe badrang ek kurta tha aur neeche to bas langoti thi,
Rahbar ka bana ke roop kayi rahzan aaye aur chale bhi gaye,
Ab na roti hay na langoti hay jo bhi tha pas sara le bhi gaye,
Bache bhooke hi so gaye apne na to bijli hay na to pani hay,
Jisne looti hay qaum ki daulat han wuhi saltanat ki rani hay,
Ghair mulkon mein jiske hayn khate mulk ko jisne kar diya kangal,
Wuh jo khud ko sharif kahta hay wuhi badmash aur wuhi jangal,
Bhook mein badbada raha tha koi ek gadi wuhan pe aa ke ruki,
Utre bandooq wale gadi se seedhi kar di kamar kisi ki jhuki,
Bole sahib ke dekho kaun hay yeh koi jasoos hay ya dahshatgard,
Isko le ja ke itna maro kahin bol de such yeh budha nanga mard.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *