teri zulfon ki khushboo keya kehna.
Tere honton ka ras bhi chakhta hoon,
mehboob mere her lams tera
jab too mujhko choo ke guzarta hay
mere pas nahin kutch bachta hay
tere lams ki chori keya kehna.
Teri lehrein aysi lehrein hayn,
jeon jheel ho aur main tairta hoon,
teri maojon ki masti keya kehna.
Jeon badal bankar udta hoon
tere sath chipak kar chalta hoon,
tere lams ki sangat keya kehna.
Auron ki keya main bat karoon
main apna aap bhula deta hoon
main ang tera ban jata hoon
kisi din pehna de angia mujhe,
apne reshami jadoo ki
main bebas banna chahta hoon
in tere sureeley lamson se
lekin too bada harjai hay
kisi aysi lehr se choo mujhko
Jo meri ho bas meri ho
main manta hoon,
khudgharz hoon main
lekin to aysi ek lehr to la
jo tujhko mujhse kahin zeyada
khudgharz bana ke rakh de kabhi
yeh khudgharzi ishq ka zevar hay
yeh jadoo hay yeh khushboo hay
too jadoo bankar cha to kabhi
kabhi aysa mujhe ek lamha de
bas aysa ek wuh lamha ho
ay mere Khuda main kho doon khudi
main bekhud ho kar mar jaoon
khushboo se bhari us lehr mein main
Jazb ho jaoon aur bikhar jaoon,
Keya rakha jeene mein ay Khuda,
insan se ab bezar hoon main,
mujhe mooseequee ki ek lehr bana
mujhe wusat de phaila de mujhe.