Aiey meri parda nasheen parde jab tum ho chupi,
Tum hi socho to zara parda uthaen keyun kar.
Tum ne tanhai mein aaina to dekha ho ga,
Tumpe jo guzri who auron pe bhi guzri ho gi,
Khud parasti griftar hui ho tumbhi,
Aur ki aankh to phir aur bhi gahari ho gi.
Tumne sharma ke nigahon ko jhukaya ho ga
Usne kutch aur hi andaz se dekha ho ga,
Phool jaisa tera paikar yeh nazakat yeh nikhar,
Tera har ang nigahon ne nihara ho ga.
Hathon se door ho aankhon se to tum door nahin,
Jispe dil machla use peyar se chooma ho ga,
Tumko mahsoos hua ho ga har ek lamse nazar,
Dil tumhara bhi ghari bhar ko to bahka ho ga.
Pecho kham mein kabhi zulfon ke tiki bhi ho gi,
Tere honton ki halawat bhi to chakhi ho gi,
Teri aankhon ki sharabon mein bhi doobi ho gi,
Tere joban ki baharon se bhi kheli ho gi.
Who nazar shokh hay kutch uska thikana hi nahin,
Jab yeh phisli to koi ang na choota hoga,
Kabhi garden kabhi bahein kabhi rukhsaro labo chashm,
Jane kis kis jagah kambakht ne loota hoga.
Husn ki adulate nayab ko in aankhon ne,
Dil ke tahkhane mein leja ke chupaya ho ga,
Dil to sheeshe se bhi nazuk hay zara socho to,
Usne ye bojh bhi kis dil se uthaya ho ga.
Ab tarapta hay tarapne do sabab mat poocho,
Itni maasoom nahin itni bhi nadan nahin ho,
Itni bholi na bano tumko khabar hay sari,
Mere is dil ke liye itni parishan nahin ho.
(This poem was written by me when I was 21 and I am submitting it after a little editing)

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *