Tum mujhse aankh churati theen main tumse aankh milata tha,
Jab hum dono kahin per milte they tab saya bhi to lajaata tha,
Na jane kahan se uth aata aur neel gagan per chata tha,
Woh kala badal dharti per jo madhu madira barsata tha,
Jis vrikch ke peeche chup chup kar main tumko geet sunata tha,
Us peir ki unchi daloon per ek panchi bhi aa jata tha,
Na jane apni bhasha mein keya bat mujhe samjhata tha.
Woh rang birange phoolon se keyun apni chonch milata tha,
Aur hum dono jab uthne lagein woh panchi bhi ur jata tha,
Woh panchi kitna akela tha ekant se woh ghabrata tha,
Hum dono ki prit ki leela se woh mun apna behlata tha,
Woh rota tha ya hansta tha kutch bhi na boojh mein aata tha.
Woh yad aata hay abbhi mujhe keya woh birha ka mara tha,
Main uski bhasha ab samjha woh mujh jaisa dukhiara tha.