jinhein dhoke se
namaloom muqamat per pahuncha diya geya
jinsi lazzat hasil karne ke liye,
jabria mushaqqat ke liye,
jism ke aaza hasil kane ke liye,
humare dil udas hayn,
auor humari roohein naraz hayn,
unke waqar auor unke huqooq ko
nazar andaz kiya geya,
dhamkion se,
jhoot se,
auor jabr se.
Hum ghulami ke in jadeed
auor bure taur tariqon per
ro rahe hayn
auor dua karte hayn
ke koi Masiha uthe
auor inko khatm kare.
Haumein aql-o-danish de
auor himmat de
ke hum bahar aayein
auor khade ho jaeyn
un jimson ke liye,
dilon auor roohon ke liye,
jinhein zakhm diye gaye.
Take hum sab milkar
apne wade poorey karien,
un behnon auor
bhaion ke liye
muhabbat ke sath,
jo narmdili
auor achai ka taqaza hay.
Un istehsal pasandon ko khali hath lauta
badle hue apni is shaitaniyat se,
auor humari madad farma
ke hum us azadi ka dava karein
jot tera tohfa hay bachon ke liye.
Aameen.
(Incidently Februar 8 is my birthday and Budhist Nirvana day as well)

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *